Its never too late to start, You can reverse your aging process
by suitable diet, proper sleep, exercise, carefree life and avoiding the
toxicants and chemicals. This can reduce the wear and tear of skin cells and
you can stay young and fresh for a long time.
Allah Kareem nay hamain jo bayshumar naimtain di hain un main khoobsorat
jisam aur khoobsoorat jild bhi shamil hai laikin hum apni bay tarteeb zindagi
aur bay hangam aadaat ki waja say boht jald is khoobsoorti ko zaya kar daitay
hain, Baat boht sada aur aasan hai agar samjh main aa jayay to. Chand cheezain
hain balkay zindagi guzarnay kay chand usool hain jin ko apna kar hum 70 saal
ki umar main bhi 40 saal kay lag saktay hain. Hamain apni sirf roz marra ki
chan cheezon ko tabdeel karna paray ga jo kay kutch aisay hain.
1- Right Nutrition
(Mauzoon Ghiza)
Junk food aur Fats ko goodbye kah dain.
Apnay kitchen main oil ki shakal main sirf Zaitoon ya Makai ka tail rakhain.
Agar aap khud junk food kha rahay hain to yahi apni jild ko bhi feed kar rahay
hain.
Jisam say zahreelay maddon ko nikalnay wali
cheezain jaisay kay vitamin C, E, A aur B hain. Din main bar bar fruits aur
sabzian istimal karain. Jaisay kay Tamatar, lemons, oranges, sabz pattay wali
sabzian, kheeray aur gajrain shamil hain.
2- Sunlight Effects (Sooraj ki Tapish say bachna)
Apnay aap ko sooraj ki taiz tapish say
bachayain, Subha 10 bajay aur dopahar 3 bajay sooraj ki heat sub say ziyada
hoti hai, is kay ilawa bhi sar par kinaray dar hat istimal kia ja sakta hai aur
kalay ya sabz sun glasses istimal karain.
3- Smoking Negative effects: (Tambakoo Noshi kay asraat)
Ziyada cigerete peenay walon ki jild boht
khurdari ho jati hai, nicotine jild ki dushman hai, balkay pooray insani jism
ki dushman hai. Is say parhaiz lazim hai.
4- Good effects of Water: (Pani kay achay asraat)
Din main kam az kam 3 litre pani peena
insani sahat aur bilkhusoos jild kay liyay boht zaroori hai. Pani jild ki ghiza
hai.
5- Staying Away from Anxiety (Zahni pareshani say bachain)
Insan ki khoobsoorati ko jo cheez sub say
ziyada nuqsan pohnchati hai woh gham, baichaini aur taffakkurat hain jis ka
asar pooray jisam par parta hai aur insan waqt say pahlay aged dikhai denay
lagta hai. Tensions aur Anxiety say bachain aur balanced diet istimal karain
jin ka ziyada hissa fruits aur sabzion par mushtamil ho.
6- Proper Exercise (Munasib Warzish)
Insan ko apni khai hoi ghiza ko hazam
karnay kay liyay aur jism ka hissa bananay kay liyay warzish ki zaroorat parti
hai. Hatta kay aap fruits aur sabzi bhi khatay hain to aap ko warzish, walk ya
jogging zaroor karni chahiyay.
Panch waqt wuzoo karna bhi qudrat ka aik
inaam hai jis say chehra khila huva rahta hai aur jaldi skin kharab nahi hoti.
Very good written article. It will be supportive to anyone who utilizes it, including me. Keep doing what you are doing – can’r wait to read more posts. The FitBay
ReplyDelete